zahar lagta hai ye aadat ke mutabiq mujh ko kuchh munafiq bhi batate hain munafiq mujh ko din chadhe dhup ki baaten nahin sunta koi chandni-raat pukare tera aashiq mujh ko kashtiyan reshmi khwabon ki jala kar jaana kis ki chahat ne bana rakkha hai 'tariq' mujh ko aap ke nam pe main had mein raha hun lekin aap ke nam pe duniya ne kiya diq mujh ko main ne suraj ki tarah khud ko banaya jis din dekhne aaenge ye maghrib-o-mashriq mujh ko aap kahte to zara dil ko tasalli hoti kahne walon ne kaha aashiq-e-sadiq mujh ko