wo jis ki dastan phaili dil-e-diwana mera tha zabanen dushmanon ki thin magar afsana mera tha tadapta hun ki ek saghar kisi hatim se mil jae zawal-e-asman dekho kabhi mai-khana mera tha bala ki khamushi tari thi har-su teri haibat se sar-e-mahfil jo gunja nara-e-mastana mera tha kate yun to hazaron sar wafa ki karbalaon mein tere neze pe jo ubhra sar-e-shahana mera tha faqih-e-shahr ko samjho ki hum pakde gae nahaq sharaben sab usi ki thin bas ek paimana mera tha bana hai 'arsh' wo munsif to phir ye bhi kabhi dekhe hua hai band jo mujh par wahi virana mera tha