waqt ka jhonka jo sab patte uda kar le gaya kyun na mujh ko bhi tere dar se utha kar le gaya raat apne chahne walon pe tha wo mehrban main na jata tha magar wo mujh ko aa kar le gaya ek sail-e-be-aman jo aasiyon ko tha saza nek logon ke gharon ko bhi baha kar le gaya main ne darwaza na rakkha tha ki darta tha magar ghar ka sarmaya wo diwaren gira kar le gaya wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue apni taswiren bhi kamre se utha kar le gaya main jise barson ki chahat se na hasil kar saka ek ham-saya use kal warghala kar le gaya saj rahi thi jins jo bazar mein ek umr se kal use ek shakhs pardon mein chhupa kar le gaya main khada footpath par karta raha rickshaw talash mera dushman us ko motor mein bitha kar le gaya so raha hun mein liye khali lifafa hath mein us mein jo mazmun tha wo qasid chura kar le gaya raqs ke waqfe mein jab karne ko tha main arz-e-shauq koi us ko mere pahlu se utha kar le gaya ai azab-e-dosti mujh ko bata mere siwa kaun tha jo tujh ko sine se laga kar le gaya mehrban kaise kahun main 'arsh' us bedard ko nur aankhon ka jo ek jalwa dikha kar le gaya