wo jitne dur hain utne hi mere pas bhi hain ye aur baat hai khush hain magar udas bhi hain ye dekhna hai hamein kis ka zauq kaisa hai yahan sharab bhi hai zahr ke gilas bhi hain unhi pe tohmat-e-diwangi lagate ho jo ittifaq se mahfil mein ru-shanas bhi hain jo raushni ke libaade ko odh kar aae shab-e-siyah ke wo matami libas bhi hain tum apne shahr mein amn-o-aman ki baat karo jahan sukun hai wahan log bad-hawas bhi hain ghazal ke saz hain faiz-ul-hasan-'khayal' jahan wahan pe aah ba-lab bhi hain mahw-e-yas bhi hain