log utthe hain teri bazm se kya kya ho kar aur ek hum hain ki nikle bhi to ruswa ho kar tir-e-mizhgan ka hai ye ghaw bhare to kaise ab to nasur bana zakhm ye gahra ho kar shauq-e-didar-e-talab hadd-e-adab se jo badha husn ne tab-e-nazar chhin li jalwa ho kar mujh se puchhe to koi kaun ho tum kya ho tum main ne pahchan kiya tum ko tumhaara ho kar khar ki tarah khatakta hun nigah-e-dil mein gul pe qurban hun main bulbul-e-shaida ho kar raegan khud ko na kar bazm-e-wafa mein ai dil yun na aankhon se tapak khun-e-tamanna ho kar kah rahe hain ye hijabaat-e-tajalli mujh se jalwa-e-husn hai khud husn ka parda ho kar fitratan ishq-e-giran gosh-e-azal hi se hai talib-e-lutf do-guna hai wo bahra ho kar tum farishte hi sahi main hun bahar-haal bashar guftugu mujh se karo jab bhi to mujh sa ho kar muddai ho jo wafa ke to sitam sahte raho lab pe aae na koi harf bhi shikwa ho kar nit nae rang bhare is mein tasawwur ke mere dil mein taswir rahi husn-e-sarapa ho kar kabhi ban ban ke mito misl-e-habab ai 'rifat' rangzaron mein raho naqsh-e-kaf-e-pa ho kar