wo jo aae the bahut mansab-o-jagir ke sath kaise chup-chap khade hain teri taswir ke sath sirf zindan ki hikayat hi pe mamur nahin ek tarikh safar karti hai zanjir ke sath ab ke suraj ki rihai mein badi der lagi warna main ghar se nikalta nahin takhir ke sath tujh ko qismat se to main jit chuka hun kab ka shayad ab ke mujhe ladna pade taqdir ke sath ab kisi aur gawahi ki zarurat hi nahin jurm khud bol raha hai teri tahrir ke sath dekhte kuchh hain dikhate hamein kuchh hain ki yahan koi rishta hi nahin khwab ka tabir ke sath ab jahan teri imarat ki haden milti hain ek budhiya ka makan tha usi jagir ke sath ye to hona hi tha mahtab-e-tamasha phir bhi kitne dil tut gae hain teri taskhir ke sath yaad bhi abr-e-mohabbat ki tarah hoti hai ek saya sa chala jata hai rahgir ke sath