wo jo aata tha kabhi pichhle pahar aata nahin ek saya sa sar-e-diwar-o-dar aata nahin aansuon se sinchte hain kisht-e-jaan ye soch kar khushk ho jaen to pedon par samar aata nahin yun to ghir ghir ke ghataen aati rahti hain magar jo barasne wala baadal hai idhar aata nahin aur chizon ki tarah ye bhi zamin ki den hai aasmanon se utar kar dida-war aata nahin kaise andaza laga leti hai duniya dekh kar dard to mahsus hota hai nazar aata nahin su-e-manzil faslon ko sath le kar chal diye hum ne jab dekha ki koi ham-safar aata nahin ab to yun lagta hai 'nikhat' jaane kyon har aadmi apne ghar aata hai jaise apne ghar aata nahin