ishrat-gah-e-jahan mein tamasha hai chaar-su yani fareb-e-dasht-e-tamanna hai chaar-su naqsh-o-nigar wahshat-e-dil-gir ke siwa daman-e-gul-farosh mein aur kya hai chaar-su sair-o-tawaf-e-gauhar-e-ranj-o-alam karo hadd-e-nazar mein ishq ki duniya hai chaar-su sun kar bayan-e-baad-e-saba ho gaya yaqin teri zaban-e-shirin ka charcha hai chaar-su ek bahr-e-tirgi ke siwa kya thi kaenat ab to teri adaon ka jalwa hai chaar-su auraq aasman ke bhi dekhe hain khol kar hum donon hi ke ishq ka qissa hai chaar-su ek din khilega ban ke gul-e-inqalab-e-ishq mera lahu zamin pe bikhra hai chaar-su suraj bhi jis ki tab se tharra ke hat gaya wo barq zer-e-hasti-e-ashya hai chaar-su hai markaz-e-nashat-e-do-alam 'nadim' ji bachchon ne mere naqsha wo khincha hai chaar-su