wo jo apne waste ek khas manzar dhundhta hai wo yaqinan kuchh na kuchh apne barabar dhundhta hai jaane kis kis se nagar mein aaj-kal naraaz hai wo har bashar mein jo wafadari ka paikar dhundhta hai dub jati hai talatum ko jo apne sath le kar aisi kashti ko har ek jaanib samundar dhundhta hai phul se nazuk wo hota hai zamane bhar ki khatir apne sar ke waste jo sakht patthar dhundhta hai in sawalon ki chubhan kya chiz hai 'abid' se puchho aadmi jin ke jawab apne hi andar dhundhta hai