ye main ne mana kuchh us ne kaha hai lekin kya hamara haal sab us ko pata hai lekin kya meri salib to rakhwa do mere kandhon par qatar lambi hai waqfa bada hai lekin kya rahi na panw mein jumbish na aankh mein ummid hamare samne rasta pada hai lekin kya har ek shakhs muqaffal makan ke manind nagar mein kuchh to yaqinan hua hai lekin kya koi batao kahan dusra qadam rakhun dayar-e-zist bahut hi bada hai lekin kya utha ke le gain 'abid' ko maujen sahil se koi safina use dhundhta hai lekin kya