wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai

wo jo be-niyaz-e-jahan kare mujhe us nazar ki talash hai
jo tujhe bana de gham-ashna mujhe us asar ki talash hai

na rahe jahan pe pahunch ke phir kisi dar pe jaane ki aarzu
jahan ishq ki bhi hai aabru mujhe aise dar ki talash hai

jahan bikhri pyar ki dastan jahan zarra zarra hai aastan
wo meri zamin mera aasman usi rahguzar ki talash hai

hain tujhi se husn ki shokhiyan hain tujhi se ishq ki garmiyan
dil-e-zinda teri talash hi meri umr bhar ki talash hai

wo bhi kya maze ki thi zindagi jo safar safar mein guzar gai
nahin manzilon mein wo dil-kashi mujhe phir safar ki talash hai

jahan raqs mein ho kiran kiran jahan ghunche chatken chaman chaman
nazar aae jis mein wo sim-tan mujhe us sahar ki talash hai

ye tabassum un ka tha lut gaya sar-e-rah dil ka ye qafila
wo jo be-khabar sa chala gaya usi be-khabar ki talash hai

jahan dard-o-dagh ki justuju jahan nit nai nai aarzu
ki jise talash-e-sukun nahin mujhe us jigar ki talash hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close