us shoKH ke latif ishaaron ko dekhiye

us shokh ke latif ishaaron ko dekhiye
bikhre hue hasin nazaron ko dekhiye

har ek shai mein us ka hi jalwa hai ru-ba-ru
ye ek dekhiye ki hazaron ko dekhiye

nazron mein gar samaya hai us yar ka jamal
dar dar gali gali mein nigaron ko dekhiye

ye kis ke rang-o-rup ka aks-e-jamil hai
chhai hui chaman mein bahaaron ko dekhiye

nairangi-e-hayat hai har samt jalwa-gar
tufan ko dekhiye ki kinaron ko dekhiye

parde utha ke aaj shabistan-e-aish ke
han ek nigah dard ke maron ko dekhiye

ulfat mein teri haar chuke hain jo jaan-o-dil
apne kabhi to sina-fagaron ko dekhiye

kyon umr-e-mukhtasar ko karen waqf-e-ranj-o-gham
dam bhar to zindagi ki bahaaron ko dekhiye

dam bhar kahin thamen na ye roke kahin ruken
is qulzum-e-hayat ke dhaaron ko dekhiye

sair-e-chaman na yar na mutrib na shaghl-e-mai
kya dekh kar 'habib' bahaaron ko dekhiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close