wo jo be-sakhta hansne ki ada thi teri tujh ko malum nahin wo hi dawa thi teri hijr raaton mein use odh ke so jata tha pas mere jo udasi ki rida thi teri tere ek dost ne puchha tha ye ro kar mujh se hai qasam tujh ko bata de ki wo kya thi teri bad-dua apne liye khub kari thi main ne han magar rah mein hail jo dua thi teri teri aawaz pe laut aae the teri jaanib puchhna kuchh bhi nahin tha ki raza thi teri