wo jo chahe to ye surat bhi nikal sakti hai ek duniya mere kashkol pe pal sakti hai nashsha-e-zulm mein socha bhi nahin tha us ne koi gardan kisi talwar pe chal sakti hai dil ko ashkon ki tamazat se bacha le warna ye wo basti hai jo barsat mein jal sakti hai jism aisa hai ki faulad bhi sharminda ho dhup aisi hai ki parchhai pighal sakti hai ai meri qabr tujhe main ne ijazat de di teri mitti meri mitti se badal sakti hai khushk aankhon mein faqat ret nahin wahshat ki ye zamin apne khazane bhi ugal sakti hai teri duniya mere masraf ki nahin hai lekin chalna chahe to mere sath ye chal sakti hai