shurua din se kisi sitare ki ungliyon mein qalam nahin hai siyah shab ke qadim kaghaz pe koi suraj raqam nahin hai main dasht-e-wahshat mein raqs karta to mujh pe shayad ye raaz khulta khirad hai muhtaj-e-ab-o-dana junun asir-e-shikam nahin hai wo ek samundar hai be-misali mein chand qatron ka ek sawali wo kam se kam bhi ata jo kar de bahut hai mujh ko wo kam nahin hai tumhaari aankhon ka kya karun main tumhaare zehnon ko kya kahun main tabah raaton ka dukh hai tum ko bujhe charaghon ka gham nahin hai main raushni ke chamakte shanon pe panw rakh kar guzar raha hun falak hai mere safar ki manzil zamin zer-e-qadam nahin hai hamare rone se us ka dil jo nahin pasija to kya shikayat ki jis se ponchhe the hum ne aansu wo aastin bhi to nam nahin hai main is se pahle bhi kohsaron mein apna rasta bana chuka hun nae pahadon se kah do ja kar ye mera pahla janam nahin hai hamari kashti ke ek chappu pe ya-mohammad likha hua hai hamari kashti se par pae kisi samundar mein dam nahin hai na koi girya na kuchh taghaful jo tutna hai to tut jae hamari sanson ki dor hai ye tumhaare sar ki qasam nahin hai