wo jo ek umr se masruf ibaadat mein the aankh kholi to abhi arsa-e-zulmat mein the sirf aafat na thin zat-e-ilahi ka subut phul bhi dasht mein the hashr bhi jazbaat mein the na ye taqdir ka likha tha na mansha-e-khuda hadse mujh pe jo guzre mere haalat mein the main ne ki hadd-e-nazar par to ye raaz khula aasman the to faqat mere khayalat mein the mere dil par to girin aable ban kar bunden kaun si yaad ke sahra the jo barsat mein the is sabab se bhi to main qabil-e-nafrat thahra jitne jauhar the mohabbat ke meri zat mein the sirf shaitan hi na tha munkir-e-takrim 'nadim' arsh par jitne farishte the meri ghat mein the