waqti ye hisab-e-zulm kab hai tarikh ke hafize mein sab hai hum pahle bhi kam dukhi nahin the ye haal kabhi na tha jo ab hai jaanon ko laga shadid aazar sangin hi kuchh is ka sabab hai wo rut hai na ab wo ham-nawa hain ab nauha-e-khu-gari hi kar-e-lab hai ehsas ke band tutte hain lekin ye shikastagi ajab hai dil jalta hai kuchh khule bhi aakhir kab tak ye tamazat-e-ghazab hai kya maut hi ab hai chaara-e-jaan har lamha-e-umr khun-talab hai