wo jo e'tibar-e-jamal the wo kahan gae wo jo aap apni misal the wo kahan gae kabhi har taraf koi dilkashi si muhit thi usi dasht mein jo ghazal the wo kahan gae kahin ek pal ko bhi tu nazar nahin aa raha gham-e-dil tere mah-o-sal the wo kahan gae wo jo khwab le ke chale the hum wo kahan gaya wo jo us ke gham mein nidhaal the wo kahan gae kabhi pahron us ka bas ek usi ka khayal tha wo jo hijr the jo visal the wo kahan gae kabhi pahle jab wo mila tha waisa nahin raha kai rang us mein kamal the wo kahan gae ye jo log mere qarib hain ye kahan ke hain wo jo husn-e-khwab-o-khayal the wo kahan gae