wo jo har dam mere khayal mein hai jaane kis parda-e-jamal mein hai chahte ho to tut kar chaho khud jawab aap ke sawal mein hai han mera fan kamal ko pahuncha zist lekin meri zawal mein hai fikr kya surkh-ru ho ya tute dil mera un ki dekh-bhaal mein hai kya zaruri hai hum jawab hi den ek talwar chup ki dhaal mein hai un ko fursat kahan jo ye sochen 'bano' imsal kis wabaal mein hai