wo jo husn-e-kul ki dalil tha wo khayal aa ke saja gaya ladin yun nigah se bijliyan koi jaise parde utha gaya main hikayat-e-dil-e-be-nawa mein ishaarat-e-gham-e-jawidan main wo harf-e-akhir-e-motabar jo likha gaya na padha gaya main charagh-e-hasrat-e-nim-shab mein sharar-e-atish-e-jaan-ba-lab dil-e-pur-umid ki lau tha main mujhe khud wo aa ke bujha gaya main ghubar-e-rah-e-talab raha hua dar-ba-dar jo chali hawa main ujad ke jab hua mutmain to wo mujh ko dil mein basa gaya pas-e-parda dil ka rafiq tha sar-e-parda mera raqib tha main miyan-e-radd-o-qubul tha ki wo aa ke parda hata gaya mujhe fikr thi meri zat par koi rang bhi na chadhe magar wo kamal-e-ghairat-e-aina mera aks mujh ko dikha gaya mera dil amin tha nigah ka thi nigah mahram-e-tajraba wo fusun-e-jalwa ki aabru mere tajrabon ko mita gaya