jab wo mah-e-rukhsar yakayak nazar aaya us mah ki talat sun suraj dil mein dar aaya tere rukh-e-raushan kun siyah khat mein sirijan dekha so kaha abr-e-siyah mein qamar aaya gulshan mein chal ai sarw-e-sahi sair ki khatir tujh waste le gul tabaq-e-naqd-e-zar aaya tujh jam-e-nayan mein hai ajab baada-e-sarshaar yak did sati jis ke ho dil be-khabar aaya muhtaj-e-kabutar nahin mujh shauq ka nama qasid ho mera dil le sajan ki khabar aaya kahte hain sab ahl-e-sukhan is sher kun sun kar tujh taba mein 'daud' 'wali' ka asar aaya