wo jo khud apne badan ko saeban karta nahin kyun na pachhtae ki saya aasman karta nahin jaane kyun ek dusre ke log hain shikwa-guzar kaun kis ke hauslon ka imtihan karta nahin kuchh nahin khulta ki aakhir kya kahani hai jise log sunna chahte hain main bayan karta nahin us se milte waqt tujh ko sath rakhkhun kis tarah main to apne-ap ko bhi darmiyan karta nahin meri peshani pe apni mohr kar deti hain sabt nasb jin rahon pe mein apna nishan karta nahin mujh mein aur ham-peshgan mein bas yahi ek farq hai mang hai jis mal ki zeb-e-dukan karta nahin sarf patwaron ke bal par par kya utrega wo in hawaon mein jo uncha baadban karta nahin hech hai sab ki nazar mein dekhna 'rashid' wo shakhs apne bare mein jo khud koi guman karta nahin