qaid-e-dil se hai meri kakul-e-pechan nazan aur mere qatl se hai khanjar-e-mizhgan nazan hai meri changul-e-wahshat se gareban nazan aur meri barish-e-ashkon se hai daman nazan kafir-e-ishq hua jab se main is dahr mein hun hai mere kufr se ye din aur iman nazan zakhm khane se mere fakhr-kunan hai ye dil khun-e-dil se hain mere dida-e-giryan nazan sakin-e-khana-e-zanjir hua hun jab se misl har halqa-e-zanjir hai zindan nazan hun wo majnun ki mere aabla-ha-e-pa se dasht-e-wahshat mein hai har khar-e-bayaban nazan mahw-e-ishq-e-shah-e-khadim hun main 'asim' yaksar husn par jis ke hain ye mere dil-o-jaan nazan