wo jo mere pas se ho kar kisi ke ghar gaya reshmi malbus ki khushbu se jadu kar gaya ek jhalak dekhi thi us ru-e-dil-ara ki kabhi phir na aankhon se wo aisa dilruba manzar gaya shahr ki galiyon mein gahri tirgi giryan rahi raat baadal is tarah aae ki main to dar gaya thi watan mein muntazir jis ki koi chashm-e-hasin wo musafir jaane kis sahra mein jal kar mar gaya subh-e-kazib ki hawa mein dard tha kitna 'munir' rail ki siti baji to dil lahu se bhar gaya