wo jo mujh se khafa nahin hota main bhi us se juda nahin hota kash rahbar mila nahin hota main safar mein luta nahin hota hum to kab ke bikhar gae hote jo tera aasra nahin hota hum sharabi agar nahin bante ek bhi mai-kada nahin hota jis jagah qurbaten panap jaen us jagah fasla nahin hota aag nafrat ki jis mein lag jae ped phir wo hara nahin hota mandiron masjidon pe ladte ho kya dilon mein khuda nahin hota maslahat kuchh to hai 'hilal' is mein zalzala yun bapa nahin hota