wo juda mujh se ho gae mil ke rah gae dil mein hausle dil ke chal ke naqsh-e-qadam pe kaamil ke hum qarib aa gae hain manzil ke parda-poshi haya lab-e-khamosh hain ye aadab un ki mahfil ke un ke gham mein guzar hi jaenge chand lamhe hain aur mushkil ke bebasi be-kasi wafa-koshi hain ye saman-e-musibat dil ke bad-nasibi ki kashti-e-ummid aa ke dubi hai pas sahil ke khub karigari junun ne ki chaak daman hue hain sil sil ke jam-e-jam se bhi kuchh nahin banta jab bigadte hain taur mahfil ke tauq-e-wahshat pada jo gardan mein silsile mil gae salasil ke jin ko tufan bhi dubo na saka kaam aae wo mauj-e-sahil ke ashk-e-gham se bhi sham-e-gham main ne dagh dhoe hain daman-e-dil ke jin pe ehsan hain apne ai 'khushtar' wo dagha kar rahe hain mil mil ke