damakta hai sar-e-nok-e-sinan koi sitara hamara ham-nafas ya ham-zaban koi sitara hamari hijraton ka khatma mumkin nahin hai hamare sath hai be-khanuman koi sitara faqat aankhen charaghon ki tarah se jal rahi hain kisi ki dastaras mein hai kahan koi sitara hum apni khoj mein jis markaze ko ja rahe hain abhi pahuncha na ho shayad wahan koi sitara hamare har taraf jo raat ne khincha hua hai usi ek daere mein hai rawan koi sitara ajab kya mashalen le kar hamara muntazir ho pas-e-diwar-e-shab girya-kunan koi sitara kisi ki chashm-e-tar se be-muhaba jhankta hai samundar ki tarah se be-karan koi sitara jahan zor-e-hawa kashti ulatna chahta hai wahin thame hue hai baadban koi sitara wo raqs-e-marg hai lamhon ki nabzen tutti hain magar is raqs mein hai khush-guman koi sitara zamin to panw se 'athar' nikalti ja rahi hai sanbhaale ab zamam-e-asman koi sitara