wo justuju ka juda hi hunar nikalte hain

wo justuju ka juda hi hunar nikalte hain
thakan se naya zauq-e-safar nikalte hain

hum apni chhanw badan mein hi dafn rakhte nahin
ki shamlat zamin se shajar nikalte hain

kahin ye nasl zamin-bos hi na ho jae
numu ke khwab ko bar-e-digar nikalte hain

kahan talak koi khud mein simat ke baitha rahe
gali mein aate hain khauf-e-nazar nikalte hain

na kholni paden danton se rishton ki girhen
chalo ki apne lahu se bhanwar nikalte hain

mohabbaten kahan panpengi sang-o-ahan mein
kisi gulab ki tahni pe ghar nikalte hain

ruton ke jabr ne jhulsa ke rakh diya tha jahan
shagufe phir usi tahni se sar nikalte hain

bhare bhare na bhare saaton ke daman ko
nihaal-e-umr se sara samar nikalte hain

ajib zahr sa ghul jata hai fazaon mein
hamare khwab jahan baal-o-par nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close