ye jo main hun koi dhoka hi sahi yunhi sahi

ye jo main hun koi dhoka hi sahi yunhi sahi
jism ki qabr ka katba hi sahi yunhi sahi

khak padti rahi kitne hi zamanon ki magar
zakhm-e-dil aaj bhi taza hi sahi yunhi sahi

dar-o-diwar se lipta hua ye sannata
shor karta hua qissa hi sahi yunhi sahi

aakhir-e-kar mujhe rakh to ho jaana hai
ek pal ke liye shoala hi sahi yunhi sahi

gham-e-duniya bhi mere dal ke samundar mein gira
aaj kuchh dard ziyaada hi sahi yunhi sahi

kam se kam us se mulaqat to ho jati hai
khwab hujre ka daricha hi sahi yunhi sahi

is ki chhanw tale purkhon ke zamane guzre
har shajar surat-e-shajara hi sahi yunhi sahi

yaad aata hai koi tark-e-talluq par bhi
aur ye baat hamesha hi sahi yunhi sahi

mutmain hun ki koi to mera nigran hai 'zafar'
mere pichhe mera saya hi sahi yunhi sahi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close