wo kahte hain ki aankhon mein meri taswir kis ki hai main kahta hun ki raushan is qadar taqdir kis ki hai wo kahte hain ki kis ne aap ko roka hai jaane se main kahta hun ki mere panw mein zanjir kis ki hai wo kahte hain ki hai insan to ek khak ka putla main kahta hun ki itni azma-o-tauqir kis ki hai wo kahte hain ki dil mein aap ne kis ko basaya hai main kahta hun ki ye duniya-e-dil jagir kis ki hai wo kahte hain ki kis ne ja-ba-ja likhkha hai mera nam main kahta hun shikasta is qadar tahrir kis ki hai wo kahte hain ki main ne aap sa same nahin dekha main kahta hun ki itni pur-kashish taqrir kis ki hai wo kahte hain tere sheron mein hai shokhi qayamat ki main kahta hun khayal o fikr mein tanwir kis ki hai wo kahte hain ki hum hain dushmanan-e-amn ke dushman main kahta hun ki un ke hath mein shamshir kis ki hai wo kahte hain ki 'raghib' tum nahin rakhte khayal apna main kahta hun ki har dam fikr daman-gir kis ki hai