wo kaj-kulah jo kabhi sang-bar guzra tha kal is gali se wahi sogwar guzra tha koi charagh jala tha na koi dar wa tha suna hai raat gae shahryar guzra tha guhar jab aankh se tapka zamin mein jazb hua wo ek lamha bada ba-waqar guzra tha jo tere shahr ko gulgun bahaar bakhsh gaya qadam qadam ba-sar-e-nok-e-khar guzra tha wo jis ke chehre pe lipta hua tabassum tha chhupae hasraten dil mein hazar guzra tha jise main apni sada ka jawab samjha tha wo ek faqir tha kar ke pukar guzra tha tere baghair bade be-qarar hain 'asi' tera wajud jinhen nagawar guzra tha