mohabbat mein wafaon ka yahi inam hai 'sufi' liye dagh-e-judai hasrat-e-nakaam hai 'sufi' agar ilzam hai koi to ye ilzam hai 'sufi' ki tu apni sharafat ke liye badnam hai 'sufi' hamin har daur mein the gardish-e-ayyam ke mare magar hum se ilaj-e-gardish-e-ayyam hai 'sufi' ba-faiz-e-rasm-e-mai-khana badalte hi rahe saqi jo bin mange pilae saqi-e-gulfam hai 'sufi' kashakash-ha-e-hasti ne jise diwangi bakhshi wo diwana harif-e-talkhi-e-ayyam hai 'sufi' tere giton ki jhankaron se duniya gunj to utthi magar kashi ki nagri mein bada gumnam hai 'sufi'