wo kaj-nigah na wo kaj-shiar hai tanha bas ek payambar-e-jannat-nisar hai tanha na bulbulon ki azan hai na titliyon ka tawaf abhi chaman mein gul-e-nau-bahaar hai tanha uthae minnat-e-sarsar ki naz-e-baad-e-nasim har ek haal mein sahra shikar hai tanha falak nujum se raushan zamin charaghon se hujum-e-nur mein ek sham-e-tar hai tanha jami hai bazm-e-masarrat ghazal-chashmon se jise mili hai nazar ashk-bar hai tanha hamin ne khema-e-hijran mein kat din raaten hamin ko fikr thi behad ki yar hai tanha chahal-pahal hai bahut yun to mai-kade mein 'naim' miyan-e-jam-o-subu baada-khwar hai tanha