wo jo dard tha tere ishq ka wahi harf harf-e-sukhan mein hai wahi qatra qatra lahu bana wahi reza reza badan mein hai wo nasim jaane kahan gai wo gulab jaane kidhar khile koi aag pichhli bahaar ki mere qalb mein na chaman mein hai yahi waqt sail-e-rawan liye meri kashtiyon ko dubo gaya koi lahar aab-e-hayat ki abhi gang mein na jaman mein hai dam-e-subh aaj hai dopahar na wo chahchahe na wo zamzame wo parinde ud ke kahan gae koi shor ganw na ban mein hai jo sitara qibla-e-rah tha wo sharar ban ke bujha 'naim' ye zamin chadar-e-khak hai mera chand jab se gahan mein hai