wo kam-nasib jo ahd-e-jafa mein rahte hain ajib mariz-e-karb-o-bala mein rahte hain numud-e-zauq o bulugh-e-hunar ka zikr hi kya yahan ye log to aah-o-buka mein rahte hain wida-e-khuld ke baad arsa-e-firaq mein hain ba-qaid-e-jism dayar-e-fana mein rahte hain wo subh o sham meri ruh mein hain jalwa-numa dil-e-figar o alam-ashna mein rahte hain hisar-e-zat mein mahbus ho ke ahl-e-hawas fareb-e-hasil-e-be-muddaa mein rahte hain bhula chuke hain zamin o zaman ke sab qisse sukhan-taraaz hain lekin khala mein rahte hain amir-e-shahr ki sohbat ke faiz se 'akhtar' janab-e-shaikh ab unchi hawa mein rahte hain