kya dilkashi hai anjum-o-khurshid-o-mah mein aise na jaane kitne hain is jalwa-gah mein jannat khayal mein hai na duniya nigah mein kya lazzaten mili hain gham-e-be-panah mein dil ko rahe shuur jo haal-e-tabah mein mearaj-e-zindagi hai gham-e-be-panah mein kya jaane kya asar tha kisi ki nigah mein sau husn aa gae mere haal-e-tabah mein mujh se nigah pher ke kyon ja rahe ho tum meri to zindagi hai tumhaari nigah mein mear-e-bandagi-e-bashar hi badal diya kuchh rind aa gae the kisi khanqah mein rahmat ko bhi muawin-e-ghaflat bana diya yun bhi koi na aae fareb-e-gunah mein iman aur kufr ka jhagda hi kho diya wo jab kabhi samae kisi ki nigah mein teri nazar ki khair ho kitne hi aaine tute hue pade hain mohabbat ki rah mein hum donon mahw-e-shauq mein lekin maal-e-shauq un ki nigah mein hai na meri nigah mein aise adab se dekh rahe hain wo aaina hazir ho jaise koi kisi bargah mein paighambari raza-e-ilahi hai warna 'kaif' yaqub dekh sakte the yusuf ko chah mein