wo kam-sukhan na tha par baat soch kar karta yahi saliqa use sab mein mo'tabar karta na jaane kitni ghalat-fahmiyan janam letin main asl baat se pahlu-tahi agar karta main sochta hun kahan baat is qadar badhti agar main tere rawayye se dar-guzar karta mera adu to tha ilm-ul-kalam ka mahir mere khilaf zamane ko bol kar karta akele jang ladi jit li to sab ne kaha pahunchte hum bhi agar tu hamein khabar karta meri bhi chhanw na hoti agar tumhaari tarah main inhisar buzurgon ke sae par karta safar mein hoti hai pahchan kaun kaisa hai ye aarzu thi mere sath tu safar karta gae dinon mein ye mamul tha mera 'taimur' ziyaada waqt main ek khwab mein basar karta