ye log karte hain mansub jo bayan tujh se samajhte hain mujhe kar denge bad-guman tujh se jahan jahan mujhe teri ana bachana thi shikast khai hai main ne wahan wahan tujh se mere shajar mujhe bazu hila ke rukhsat kar kahan milenge bhala mujh ko mehrban tujh se khuda kare ki ho tabir khwab ki achchhi mila hun raat main phulon ke darmiyan tujh se judaiyon ka sabab sirf ek tha 'taimur' tawaqquat ziyaada thin jaan-e-jaan tujh se