wo karenge mera qusur muaf ho chuka kar chuke zarur muaf husn ko be-qusur kahte hain hai qusur aap ka qusur muaf main ne ye jaan kar khataen kin har khata hogi bizzarur muaf wo hansi aa gai tere lab par ho gaya wo mera qusur muaf be-khudi mein jo ho khata hum se kam se kam wo to ho zarur muaf khamushi un ki mujh se kahti hai ab hua ab hua qusur muaf phir na tum bakhshna kabhi mujh ko pahli taqsir ho zarur muaf hath bhi jode panw par bhi gira ab to kah do kiya qusur muaf hai yahi kaam us ki rahmat ka honge mere gunah zarur muaf aur aadat meri kharab hui kash karte na wo qusur muaf khud ye iqrar-e-jurm karte hain kijiye 'nuh' ko zarur muaf