ghazal kahne ka kis ko dhab raha hai wo rutba ishq ka ab kab raha hai bashashat barg-e-gul mein hai jo itni kisi ke lab par us ka lab raha hai mushawwash shakl se us gul ki zahir ye hota hai kahin wo shab raha hai parastish hi mein shab aakhir hui hai hamare pas wo but jab raha hai tumhaare ahd mein ai kafiro hae kahan wo millat o mazhab raha hai mera zanu tere zanu ke niche uthun kyun-kar ki kafir dab raha hai ise kab naz-e-bustan ki hawas hai ye dil nit kushta-e-ghabghab raha hai mu-e-juz 'mir' jo the fan ke ustad yahi ek rekhta-go ab raha hai nit us ki 'mushafi' khata hun dushnam yahi to mera ab mansab raha hai