wo karwan-e-bahaaran ki be-dara hoga sukut-e-ghunche ki manzil pe ruk gaya hoga baja ki dil nahin zindan-e-be-khudi ka asir magar ye qaid-e-ana se kahan raha hoga shua-e-mahr ki nazzargi ke shauq mein chand falak ke dida-e-be-khwab mein dhala hoga kuchh aisi sahl nahin fan ki munfarid takhliq khuda bhi meri tarah pahron sochta hoga main tere zehan mein rach bas gaya hun misl-e-khayal jidhar bhi jaega tu mera samna hoga baha ke le bhi gaya meri har mata-e-sukun jo ashk abhi tere rukh par nahin baha hoga ye aarzu hai ki wo din na dekhna ho nasib mere amal se mera fikr jab khafa hoga khila raha hai jo harf-o-nawa ke lala-o-gul wo mera nutq nahin mauja-e-saba hoga