mohabbat dil pe karti hai asar aahista aahista mariz-e-gham ko hoti hai khabar aahista aahista khuda ab jaane kya anjam ho is sajda-rezi ka ghisa jata hai tera sang-e-dar aahista aahista junun-e-ishq le aaya hai aakhir dasht-e-ghurbat mein muqaddar ban gai gard-e-safar aahista aahista kiya hai jumbish-e-lab ne mujhe behaal kuchh aisa main yun to sans leta hun magar aahista aahista ubhar aaega apne wasl ka khurshid bhi ek din magar hogi shab-e-gham mukhtasar aahista aahista bachaun kis tarah kachche makan ko tez barish mein gire jate hain sab diwar-o-dar aahista aahista nahin marta yakayak be-irada nazninon par chhidakta hun main jaan un par magar aahista aahista kisi ke dur rahne se mohabbat kam nahin hoti magar barbaad hota hai jigar aahista aahista ghazab hai bazm mein tera ye kaif-angez nazzara hua jata hun khud se be-khabar aahista aahista mujhe karne laga hai khanaman-barbaad gham tera watan mein ho gaya hun dar-ba-dar aahista aahista umand aai hai kyun tarik shab atraf-e-alam par kahan gum ho gae shams-o-qamar aahista aahista 'muzaffar' raaz poshida rahega kaise mahfil mein lahu tapka rahi hai chashm-e-tar aahista aahista