wo kaun dil hai jahan jalwa-gar wo nur nahin is aaftab ka kis zarre mein zuhur nahin koi shitab khabar lo ki be-namak hai bahaar chaman ke beach diwanon ka ab ke shor nahin tajalliyon se pahunchta hai kab use aaseb sanam-kada hai na aakhir ye koh-e-tur nahin tere safar ki khabar sun ke jaan dhadkon se jo pahunchun marg ke nazdik main to dur nahin koi bhi deta hai ladkon ke hath shisha-e-dil 'yaqin' main ghaur se dekha to kuchh shuur nahin