tapti hui rahon pe phiraya mujhe din-bhar yun tere tasawwur ne sataya mujhe din-bhar dil mein wo kasak chhod gaya subh ka tara ek lamha bhi aaram na aaya mujhe din-bhar viran bayaban mein kabhi ujde gharon mein phirta raha le kar tera saya mujhe din-bhar deti rahi ye chandni shab-bhar mujhe aawaz suraj ne bhi rah rah ke bulaya mujhe din-bhar har samt bhare shahr the kya jaaniye phir bhi tanhai ke ehsas ne khaya mujhe din-bhar lahje mein ghani chhanw ke patton ki zaban mein pedon ne tera haal sunaya mujhe din-bhar ek pal mein hi batla gain dam todti kirnen wo raaz jo ai 'sham' na paya mujhe din-bhar