wo kaun hai jis ki wahshat par sunte hain ki jangal rota hai virane mein aksar raat gae ek shakhs hai pagal rota hai phir san se kahin purwai chali khilte nahin dekhi dil ki kali ye jhut hai barkha hoti hai ye sach hai ki baadal rota hai hai us ka sarapa dida-e-tar duniya ko magar kya is ki khabar sab ke liye aankhen hansti hain mere liye kajal rota hai wo kis ke liye singhaar kare chandan sa badan yun rup bhare jab mang jhka-jhak hoti hai aaina jhala-jhal rota hai banti nahin dil se 'shaz' apni ye dost hai ya dushman koi hum hain ki musalsal hanste hain wo hai ki musalsal rota hai