wo kaun hain phulon ki hifazat nahin karte sunte hain jo khushbu se mohabbat nahin karte tum ho ki abhi shahr mein masruf bahut ho hum hain ki abhi zikr-e-shahadat nahin karte quran ka mafhum unhen kaun batae aankhon se jo chehron ki tilawat nahin karte sahil se suna karte hain lahron ki kahani ye thahre hue log baghawat nahin karte hum bhi tere bete hain zara dekh hamein bhi ai khak-e-watan tujh se shikayat nahin karte is mausam-e-jamhur mein wo gul bhi khile hain jo sahib-e-alam ki himayat nahin karte hum banda-e-nachiz gunahgar hain lekin wo bhi to zara barish-e-rahmat nahin karte chehre hain ki sau rang mein hote hain numayan aaine magar koi siyasat nahin karte shabnam ko bharosa hai bahut barg-e-aman par 'khurshid' bhi danista qayamat nahin karte