pani ki tarah ret ke sine mein utar ja ya phir se dhuan ban ke khalaon mein bikhar ja lahra kisi chhitnar pe o mit hawa ke sukhe hue patton se dabe panw guzar ja chadhti hui is dhup mein saya to dhalega ehsan koi ret ki diwar pe dhar ja bujhti hui ek shab ka tamashai hun main bhi ai subh ke tare meri palkon pe thahar ja lahraega aakash pe sadiyon tera paikar ek bar meri ruh ke sanche mein utar ja is ban mein raha karti hai parchhain sada ki ai raat ke rahi tu zara tez guzar ja us par chala hai to 'rashid' apna asasa behtar hai kisi aankh ki dahliz pe dhar ja