wo kaun se KHatre hain jo gulshan mein nahin hain

wo kaun se khatre hain jo gulshan mein nahin hain
hum maut ke munh mein hain nasheman mein nahin hain

ye jashn-e-tarab aur ye be-rangi-e-mahfil
do phul bhi kya waqt ke daman mein nahin hain

chhup chhup ke kise barq-e-hawas dhundh rahi hai
ginti ke wo khoshe bhi to khirman mein nahin hain

imroz ke dikhte hue dil ki main sada hun
diroz ke nauhe mere shewan mein nahin hain

chaak-e-jigar ai dast-e-karam si to raha hai
girhen to kahin rishta-e-sozan mein nahin hain

majbur ab itna bhi asiron ko na samjho
aise bhi hain kuchh tauq jo gardan mein nahin hain

rang-e-nigah-e-shauq bhare kaun chaman mein
tinke bhi to 'yaqub' nasheman mein nahin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close