tumhaari yaad mein kuchh yun nae mausam banata hun

tumhaari yaad mein kuchh yun nae mausam banata hun
main sahra-e-junun mein ret se shabnam banata hun

wo mujh ko zakhm dene ke liye khanjar banate hain
main un ko thik karne ke liye marham banata hun

teri surat nigah-o-zehn mein chhai hui hai yar
main subh-o-sham taswiron ka ek album banata hun

main khud ko resha resha fikr-o-fan se odh leta hun
ghazal ke sher ki tarkib mein resham banata hun

ye harf-o-saut ki jadugari yunhi nahin aati
main khud ko sarf kar ke naghma-ha-e-gham banata hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close