wo kaun tha ki jo aasan kah gaya mujh ko zara si baat pe nadan kah gaya mujh ko ye daur wo hai khuda ko kahe khuda na koi karam hai us ka jo insan kah gaya mujh ko wo dikh raha tha pareshan mujh se mil ke bahut ajib baat hai hairan kah gaya mujh ko nahin khila saka jab phul dil mein chahat ka to bebasi mein wo viran kah gaya mujh ko tamam dukh the numayan yun meri aankhon se sukhan-shanas to diwan kah gaya mujh ko